Hamesha main hi tumhe khat kyun likhoon.
Mera bhi mann hota hai ki main bhi kabhi tumhaare khatoin ka jawaab likhne baithoon...
Kuch roothi si kuch sochti hui main bhi der raat tak ek kalam aur ek kaagaz liye ghantoin baithe sochti rahoon. Aur jaise tum khidki pe baithe kabhi kabhi chaand ko takte rehte ho, theek usi tarah main bhi khidki se bahar kaali chaadar odhe us raat ko dekhti rahoon jo ab khatm hone ko hai...tab khatm hone ko hai...
Us din jab tumne hum dono ke saath hone ki wajeh zaroorat batayi thi...
Tab yaad hai kitni ladai ki thi maine. Aur tumne bhi use apni ek nadaani keh taal diya tha.
Shayad bhool gaye hoge tum.
Shayad tumhe yaad ho...
Aaj jab tumhaare baare mein sochti hoon toh lagta hai shayad tum sahi the.
Haan shayad woh tumhaari kehfiyat... mehej ek kehfiyat nahi thi.
Aaj jab tum saath nahi ho mere, aur sirf tumhaare kuch khat reh gaye hain mere paas...
Toh har ek khat mein bas kuch adoore se jawaab hi mile mujhe.
Kya har sawaal main hi kiya karti thi...
Shayad haan...dekhona aaj bhi main hi sawaal kar rahi hoon...
Mujhe pata hai aaj bhi aksar tum mere khat liye baith jaate hoge
Ghantoin unhe takte rehte hoge.
Agar kabhi tum wahaan kuch likho toh bata dena
Mere an-ginat kore pannoin mein shayad zindagi kuch gunguna de...
4 comments:
Thanks a lot :)
u write beautifully in Hindi. mein har roz ise ek baar parti hun. mujhe bohot shanti milti hai. khubsoorti ka ehsaas hota hai.
aaj bohot dino baad aasu nahi tham rahe the... teri kavita parke mera man shant hua.
बेहतरीन...कितना खूबसूरत है सवालों जवाबों का ये ताना बाना...और आखिरी पंक्ति "जिंदगी कुछ गुनगुना दे" देर तक असर छोड़ती है.
came to your blog from, neha's...you write beautifully.
@poemsnpuja:
welcome to my blog.
and thanks for the comments :)
Post a Comment